
Hamal ka bar bar gir jaana (hamal k upar dabaw daalne wali quwwato ka hamal ki quwwat masika se zaayad hona)
HAKEEM MOHAMMAD SHAHRUKH

Usool e ilaj :-
1) hamal k upar dabaw dalne wali quwwato ko zaeef bnana
2) hamal k quwwat masika ko qawwi bnana.
Asbab or Ilaj
- Rehm pr rih ka dabaw (sue hazm, fasad hazm, zuf e meda etc k waja se)
- Alamat :- mareeza ko rih or mutallik alamat milengi jaise flatulence, bloating, qabz, bad hazmi etc
- Ilaj :-
- i) islah e hazm wa taqwiyyah e meda (jawarish ambar 5 g BD ya jawarish luluwi 5 g BD)
- ii) taqwiyyah e rehm (majun muqawwi reham 10 g OD wid milk, agr miscarriage k history zyada hai to majun hamal ambari alvi khani ya majun moin Hamal ambari dein)
- Ghalaba e rutoobat (rutoobat me zyadti k waja se rehm k quwwat e dafia qawwi o jati hai, lihaza quwwat e masika zaeef o jati hai or miscarriage ho jaata hai)
- Alamat :- watery discharges n secretions, pyas k qillat or peshab k kasrat etc
- Ilaj :-
- i) Taskin e rehm (majun supari pak 10 g OD)
- ii) taqwiyyah e rehm (majun muqawwi reham 10 g OD wid milk, agr miscarriage k history zyada hai to majun hamal ambari alvi khani ya majun moin hamal ambari dein)
- Nafsyati or jismani dabaw (agr ba haml khatun pe gharelu jhagdo or muamlat k waja nafsyati dabaw padta hai to uska dil baith jaata hai, lihaza rehm k quwwat me b zuf aata hai or miscarriage k imkanat me izafa o jata hai.
- Agr ba hamla khatun had se zyada or bhari gharelu kam karti hai jaise wazan uthhana, stairs upar neeche chadhna, kapde dhona, masale peesna etc, to b uske aza raeesa or lihaza rehm me zuf paida ota hai or miscarriage k imkanat me izafa ho jata hai.
- Ilaj :-
- i) khatun or uske gharwalo ki counseling (taleem, talkeen, hidayaat, khabardaar krna etc)
- ii) taqwiyyah e qalb wa aza raeesa wa badn(halwa supari pak 25 g OD, khamira marwareed khas 4 g BD wid milk)
- iii) taqwiyyah e rehm (majun muqawwi reham 10 g OD wid milk, agr miscarriage k history zyada hai to majun hamal ambari alvi khani ya majun moin hamal ambari dein)
- Zuf e rehm wa badan (kai khwateen ko bs kmzori hoti hai, usi k waja se wo hamal ka bojh bardasht ni kr pati hn or bar bar miscarriage hota rehta hai)
- Ilaj :-
- i) islah e hazma wa taqwiyyah meda (alamat k mutabiq munasib jawarishat dein.
- Agr mitli, ulti, diarrhoea, acidity, khatti dakar aisi alamat hn to jawarish anarain ya amla saada dein.
- Agr qabz, bhukh me kami, pyas me kami, flatulence hai to jawarish kamuni ya kamuni akbar dein)
- ii) taqwiyyah e qalb wa aza raeesa wa badn(halwa supari pak 25 g OD, khamira marwareed khas 4 g BD wid milk)
- iii) taqwiyyah e rehm (majun muqawwi reham 10 g OD wid milk, agr miscarriage k history zyada hai to majun hamal ambari alvi khani ya majun moin hamal ambari dein)
- Ilaj :-
- Ghalat Ilaj (mudirr or mushil adwia uzu k quwwat e dafia me izafa kr deti hn khususan naf k neeche wale aza me, islye miscarriage ho jaata hai. Lihaza qabz ya peshab k qillat hone par b itrifaljat, sharbat bazuri, arq kasni etc ka use na kre.
- Qabz ka ilaj jawarish kamuni, maghz injeer, maweez munakka, badam, akhrot or sath e walking or yoga se kre.
- Peshab me qillat ka ilaj maghz tukhm tarbuz, kheera, kakdi, kharbuza se kre or sath e sharbatjat se khatun ko hydrate rakhe.
*ye article bs vaidya or hakeem hazraat k lye hai. Jin afrad ko tib k ABCD ni pta hai, unse guzrish hai khud se ilaj na kre.